Tu jo agar mere saath hai..
Zindagi me bhi gazab baat hai..
Dinbhar tujhme he khoya rahu.
Bhool jau kab din hai jab raat hai..
Wo kahe to khud ko badnaam kar du..
Badle unki muskurahat ke…
Apni yeh jan bhi de du..
Dard de kar wo mujhe khud pe guroor karte the..
Par akele me aksar..
Mujhse jyada rote the
Aadhi si mulkaton ka yeh asar hai…
Mere dil ko unke aehsason ki khabar hai..
Bhool gayi mai wo bewafai ki rate…
Wo jhoothe kasme aur wade..
Parr fir bhi na jane kyu aakhe aaj bhi jhalak ati hai..
Wo khud ko alag bata kar humse dur the..
Par jab mene khud me jhaka…
Poora ka poora khud ko un jaesa paya..
Haq me woh nahi to kya,
Kuch kamal to kar aye zindagi..
Zindagi bhar ke liye na sahi..
Mera unhe filhal to kar aye zindagi..
Mera dil agar tum tab he tod dete..
Haste haste hum tumhe bhi chod dete..
Par ab tere jane ka dar har pal is dil to satata hai..
Dheere dheere koi is dil ko bhaa raha…
Dil to mera hai par hukum koi aur chala raha..
Mai kisi aur ki hu,
Yeh jan kar bhi wo bepanah chahte rahe..
Kismat me mai nahi,
Yeh jan kar bhi har dua me mujhe mangte rahe..